Shri Sanatan Dharam Pratinidhi Sabha emblemShri Sanatan DharamPratinidhi Sabha

Vaishno Devi Chalisa

Doha

Seepva swaroopa sarvaguni, meri maiya Vaishno kasht nidaan, Shakti bhakti do ho hamein, divya shakti ki khaan. Abhay daayini bhay mochani, karuna ki avataar, Sankat door karo bhakton ka, kar do udhaar.

Chaupai

Gufa nivaasini mangala maata, kala tumhaari jag vikhyaata, Alpabuddhi hum moodh agyaani, gyaan ujiyaara do maharaani.

Dukh saagar se hamein nikaalo, bhram ke bhooton se mujhe bachaalo, Putron ke sab avrodh hataana, apni chhaaya mein mujhe chhupaana.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Bhakt vatsala Bhairav harini, aadi ananta mujhe jagat janani, Divya jyoti jahaan hoy ujaagar, vahaan uday ho dharma divaakar.

Paap naashini punya ki Ganga, teri sudha se tarein kusanga, Amritmayi teri madhur vaani, har leti abhimaan Bhavaani.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Sukhad saamagri do bhaagtan ko, karo phaldaayak mere chintan ko, Dukh mein na vichalit hone dena, dheeraj dharma na khone dena.

Utsaah vardhak kala tumhaari, maargdarshak banein hamaari, Ghere kabhi jo visham avastha, tu hi sujhaana mujhe koi raasta.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Bina dwesh ke vishdhar kaale, jo sadbhaav ko dasnevaale, Unpar ankush sada lagaana, durgun ko sadgun se mitaana.

Param tripti ka jal dena, durbal kaaya ko bal dena, Aatmik shaanti ke abhilaashi, kahte bana de daridra vishwaasi.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Basi ho tum Shridhar ke man mein, jyoti tumhaari hai kan kan mein, Hum abhishek mujhe karein tumhaara, kar do mujhe udhaar hamaara.

Viyar langoor prahari tere, bhajein tumhein mujhe sang savere, Vishwa vijayi hai teri shakti, bhaav nidhi taarak paavan bhakti.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Vighn haran jag paalan hari, sinh vaahini bhent pyaari, Kripa ki hum par drishti karna, sachche sukh ki vrishti karna.

Yash gaurav sammaan badhaana, pratibha ka sooraj chamkaana, Swachchh saarthak shraddha dena, sharanaagati mein hamko lena.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Sharada, Lakshmi aur Mahakaali, teenon ka sangam balshaali, Rakhna siron pe haath hamaare, sada hi rahiyo saath hamaare.

Vipada bhaav bhay haarna, durgam kaaj sugam mujhe karna, He divya jyoti sarvavyaapak, teri daya ke hum hain yaachak.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Buddhi vivek vidya daayini, shakti tumhaari hai rasaayani, Rog shok santaap ko haarti, durlabh vastu sulabh hai karti.

Jaap tera jab rang dikhta, bhaavnaavi ka jal sukh hai jaata, Ratnon se ghar bhar do maiya, vish ko amrit kar do maiya.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Bhakti suman jo karte arpan, dho dho unke man ke darpan, He tribhuvan ki sirjanhaari, sada hi raakhiyo laaj hamaari.

Sukh mein jeevan ka vaar dena, sakal manorath seedh kar dena, Him parvat par rahnevaali, karna aashrit ki rakhvaali.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Daityon ki sanghaarak maata, Ambe kasht nivaarak maata, Akhil vishwa hai tere sahaare, rom rom tera naam uchchare.

Swaamini ho utthaan patan ki, trailoki ke aavaagaman ki, Haath daya ka sir par dhaarna, he mangala mujhe amangal haarna.

Jai jai Ambe jai Jagadambe.

Have a query? Chat with us on WhatsApp