Shri Sanatan Dharam Pratinidhi Sabha emblemShri Sanatan DharamPratinidhi Sabha

Om Jai Jagdish Hare Aarti

Om jai Jagdish Hare, Swami jai Jagdish Hare, Bhakt janon ke sankat, kshan mein door kare. Om jai Jagdish Hare

Jo dhyaave phal paave, dukh vinase man ka, Swami dukh vinase man ka, Sukh sampatti ghar aave, kasht mite tan ka. Om jai Jagdish Hare

Maat-pita tum mere, sharan gahoon main kiski, Swami sharan gahoon main kiski, Tum bin aur na dooja, aas karoon jiski. Om jai Jagdish Hare

Tum pooran paramaatma, tum antaryaami, Swami tum antaryaami, Parabrahm parameshwar, tum sabke swami. Om jai Jagdish Hare

Tum karuna ke saagar, tum paalan-karta, Swami tum paalan-karta, Main moorakh khal kaami, kripa karo bharta. Om jai Jagdish Hare

Tum ho ek agochar, sabke praanpati, Swami sabke praanpati, Kis vidhi milun dayaamay, tumko main kumati. Om jai Jagdish Hare

Deenbandhu dukhaharta, tum thaakur mere, Swami tum thaakur mere, Apne haath uthaao, dwaar pada tere. Om jai Jagdish Hare

Vishay-vikaar mitaao, paap haro deva, Swami paap haro deva, Shraddha-bhakti badhaao, santan ki seva. Om jai Jagdish Hare

Shri Jagdishji ki aarti, jo koi nar gaave, Swami jo koi nar gaave, Kahat Shivanand Swami, sukh sampatti paave. Om jai Jagdish Hare

Have a query? Chat with us on WhatsApp